Guzra Hua Zamana

Posted: August 25, 2012 in Yaad Shayari

shaam hote hi woh gagriya uthakar doston ke saath daud lagana,
jharney pe jakar baatien banana, woh hasi mazak lagana,
aaj bhi woh din yaad aate hain toh dil mein ik lehar si daud jaati hai,
jab kabhi mujhe yaad aata hai woh guzra zamana,
woh paani bharte hua zarurat se zyada waqt lagana,
woh sukha hua bargad ka paid jiski chhaon mein baith kar dhup se baatien karna,
aur baaton mein kehna zara mujhe chhu ke batana..
Aankhon se aansu challak jaate hain,pata nahi kyun,phocho toh kehte hain bahut yaad aata hai woh guzra hua zamana….

Comments
  1. itsursite says:

    u like it good 🙂

Leave a comment