Archive for the ‘Urdu Shayari’ Category

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena……!

Koi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,
Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,
Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,
Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,
Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,
Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..

Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,
Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,
Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,
Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,
Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!