Archive for the ‘Ghazal Shayari’ Category

Fasley Aisey Bhi HoOnge Ye Kabhi SoOcha Na Tha………..
Saamne Baitha Tha Mere Aur WoO Mera Na Tha………….
WoO KhushboO Ki Tarah Phaila Tha Mere Char SoO……..
Main Usey MehsoOs Kar Sakta Tha ChhoO Sakta Na Tha……..
Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi…….!
Jhaank Kar Dekha Gali Mein ToO Koi Bhi Aya Na Tha……..
Aks ToO MaujoOd They Par Aks Tanahai Ke The…………
Aaeina ToO Tha Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha………..
Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye………!
Aj Main RoOya ToO Mere Sath WoO RoOya Na Tha……….
Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda HoOney Se Theen………….
Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha…………
Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif HoOti Thi ……………..
BhoOl Janey Ke Siwa KoI Chara Na Tha………….

wo yahaN se nahiN gaya ab tak

Posted: August 28, 2012 in Ghazal Shayari

“wo yahaN se nahiN gaya ab tak”
sab wahiN hay paRa hua ab tak
khwaab ankhoN se hay khafa ab tak
so mujhy neend hay sazaa ab tak
tum ne jo dard-e-dil diya tha kabhi
koi us meiN hay mubtilaa ab tak
wo jisy tum ne tanha choRa tha,
wo kisi ka nahiN hua ab tak
us ki ankhaiN thiN is qadar roshan
mera din hi nahiN dhala ab tak
wo chubhan aj bhi hay kal jesi
zakhm bhi hay naya naya ab tak
maiN adam se kahaN chala aya,
raasta pa nahiN saka ab tak
wo jisy maiN ne apna ap diya
wo mera ho nahiN saka ab tak
keh do ja kr mery maseeha se,
mer chuka huN mai bar’haa ab tak
ab nahiN ho gi shairi mujh se
likh diya jo bhi likh saka ab tak
kesi bad-qismati hay ye ,
mil k bhi wo nhi mila ab tak…

Rukh HawaoN Ka Badalta Hee Gaya
Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hee Gaya
Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa
Phool Chup Chaap Bikharta Hee Gaya
Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki
Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hee Gaya
Aap Ne Sirf Maseehayi Ki
Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hee Gaya
Jis Ne Bhee Maanga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hee Gaya
Koi TofaaN Tou Aaya Hee Nahee
Sheher-e-JaaN Phir Bhee Ujarta Hee Gaya
Jis Ne Bhee Ishq Ki RaahoN Ko Chuna…….
Dasht Aabaad Wo Karta Hee Gaya………!

Zindagaani Se Pyaar Bhi Tou Nahi
Mout Ka Intezaar Bhi Tou Nahi
Kon Kehta Hai Kat Na Paaye Gi ?
Raat Hai Rahguzaar Bhi Tou Nahi
Os Gali Mein Chalay Tou Jaayein Magar
Zindagi Baar Baar Bhi Tou Nahi
Ham Ne Dekha Kahan Hai Suud-o-Ziyaa.n
Pyaar Hai Kaarobaar Bhi Tou Nahi
Pyaar Doulat Hai, Ye Sahi Hai Magar
Ba-Khuda Ham Ko Pyaar Bhi Tou Nahi
Khud Kalaami Se Thak Chukay Hain Bohat
Koi Ab Raazdaar Bhi Tou Nahi
Jaan Denay Ka Dar Hai Kis Ko Magar
Saamnay Koi Daar Bhi Tou Nahi
Ye Mohabbat Fazool Shay Hai “Batool”
Pehla Pehla Khumaar Bhi Tou Nahi

Muhabbat Tak Rasaa’ii Chaahtaa Huun
Main Kab Saarii Khudaa’ii Chaahtaa Huun
Khushii Bhii Mujhko Raas Aatii Nahiin Hai
Ghamon Se Bhii Rihaa’ii Chaahtaa Huun
Khizaan Men Shaakh Se Gul Jaise Bikhre
Main Yuun Tujh Se Judaa’ii Chaahtaa Huun
Mere Honton Pe Kaliyaan Khil Uththii Hain
Main Phir Shoalaa-Navaa’ii Chaahtaa Huun
Ganvaa Baithaa Huun Sab Kuch Phir Bhii “Sahil”
Vahii Farmaan-Ravaa’ii Chaahtaa Huun